Skip to main content
Gulf Mey Arabi Zabaan Aisaach Bolthey: Learn Colloquial Arabic Thru' Hindi/Urdu Transliteration

Gulf Mey Arabi Zabaan Aisaach Bolthey: Learn Colloquial Arabic Thru' Hindi/Urdu Transliteration

Current price: $7.00
This product is not returnable.
Publication Date: May 3rd, 2018
Publisher:
Createspace Independent Publishing Platform
ISBN:
9781718668447
Pages:
100
Usually Ships in 1 to 5 Days

Description

Hello Doston, Kya haal hai. Umeed hai ke sab teeq taaq chal raha hai. Zindagi agar kisi mushkil sey guzar thi hai tho bhi kya, aap to sipahi ho. Darna kis baat ka. Girte hain shahsawar hi maidaan-e-jung mei Woh tifl kya girenge jo ghutno ke bal chale Bahrey haal, jab zindagi thanga dasti sey guzar thi hai to, har kisko gulf jaaney ka mann kartha hai. Laikin uskey liye aap ko apne aap ko thayaar karna padey ga. Khas kar agar aap arabi zabaan seekhlen tho kamiyabi ki or tezi sey khadam bada sakthey hain. Isliye meri a halki se koshish, aap sab key liye. Is kitaab mey aap arabi ki aami zaban seekh sakh they hain. English mey transliteration isley kar raha hoon tha key jinko hindi aur urdu padh na nahi aata, wo isey aasaan sey padh ley. Chalen Aab seedha nukhtey par aayen. Assalamu alaikum Yaani, aap par allaah ka salam ho. Greetings yaani mubarakbad ya shubh kaamna, har culture mey hai. Anekh deshomey alag alag tharah sey log ek doosron ko badhaai dete hain, aadaab arsh kar the hain. Magar gulf mey yeh badhayee aur khush mandhi, islam sey judee hui hain. Gulf, yaani khaleej al arab mey uae, saudi arab, oman, bahrain, qatar aur kuwait shaamil hain. Jab ek arab doosrey sey miltha hai to uski badhayee aur khush mandhi ek dua tharah hothee hai. Jaisa key: ALLAAH KHALEEK ALLAAH AAP KO RAKHEY ALLAAHI SALMAK ALLAAH AAP KO SALAMATH RAKHEY ALLAAHI HAYYIK ALLAAH AAP KO LAMBHI UMAR DE ALLAAHI YASHFEEK ALLAAH AAP KO SHIFA DE Aisey greetings wakht key hisab sey kiye jaathey hain. Yehi greetings agar aurathon ke liye istamal hona hai tho, allaah khaleech, allaahi salmach, allaahi hayyeech, " cha" lagaya jatha hai. Duniya mey har culture key log jab ek dosrey sey milthey hain tho, greetings yaani shub kaamna dena hasbey ma'mool hai aur dastoor bhi hai. Salam, namasthe, aloha, sad sri akal, nai ho, hello, jumbo, etc. Agar kisi se baath karni hai tho yehi alfaaz ice breaker, yaani shuruwaathi kalimaat hothey hain. Aayen chalen dekh they hain, gulf mey log kaisey ek doosrey se guftagu karthey hain. Aap ka khadarmand Mushtaq Ahmed.